Darr

DARR. Ye lafz jahan bhi pravesh kare, uss cheez ko kamzor bana deta hai. Agar iss shabd pe ghaur kiya jaye, toh kuch anmol ashaar nikal aate hai. Pesh karta hoon, mulahiza farmaye.

FEAR. This word weakens everything it gains control of. If paid attention to, some priceless verses can be penned out of it. Presenting to you, do cherish.

Table of content

Poetry details

Title: DARR

Created date: 20-Dec-2015 Sun

Total lines: 12

Written by: Shakeel Anwar

Transliteration

Zindagi darr se bikhar jaati hai,

Khatam ho darr to sawar jaati hai.

Aah! Afsos! Kabhi mat kehna,

Zindagi isse theher jaati hai.

Khauf se khaali ho hasti jiski,

Phir jidhar chahe udhar jaati hai.

Gir ke bhi raah kabhi mat chhodo,

Isse taqdeer sawar jaati hai.

Apni aakhon mein saja lo hasrat,

Hausla ho to nikhar jaati hai.

Jiski tadbeer, Shakeel, ho aisi,

Uski har cheez nikhar jaati hai.

Detailed work

LINE 1

Zindagi darr se bikhar jaati hai,

Life shambles with fear,

LINE 2

Khatam ho darr to sawar jaati hai.

And mends when the fear is gone.

LINE 3

Aah! Afsos! Kabhi mat kehna,

Never say Ah! Alas!

LINE 4

Zindagi isse theher jaati hai.

Life comes to a halt with these.

LINE 5

Khauf se khaali ho hasti jiski,

Whose life is devoid of fear,

LINE 6

Phir jidhar chahe udhar jaati hai.

Their life turns wherever they want.

LINE 7

Gir ke bhi raah kabhi mat chhodo,

Never abandon your path even when you fall,

LINE 8

Isse taqdeer sawar jaati hai.

This ameliorates one’s destiny.

LINE 9

Apni aakhon mein saja lo hasrat,

Aim a wishful desire,

LINE 10

Hausla ho to nikhar jaati hai.

If there is valour, it shines.

LINE 11

Jiski tadbeer, Shakeel, ho aisi,

Whose strategy is such, Shakeel,

LINE 12

Uski har cheez nikhar jaati hai.

Everything of theirs’ flourishes.

Credits

Poet: Shakeel Anwar

Translation, Transliteration: Dawood Shakeel