Kar Sako

Bahut Kuch mein aap sabka istaqbaal karta hoon. Chand ashaar, mulahiza farmaye.

I welcome you all at Bahut Kuch. A few verses, please observe.

Table of content

Poetry details

Title: KAR SAKO

Created date: 02-Aug-2018 Thu

Total lines: 8

Written by: Shakeel Anwar

Note! Only 6 lines are recorded in the video.

Transliteration

Itni nahi bisaat ke kuch kaam kar sako,

Aaye ho iss jahaan mein to kuch naam kar sako.

Kitni buri hai baat gire utth nahi sake!

Phir haq nahi naseeb ko badnaam kar sako.

Khud ko nikhaar ne ka nasha dil mein pal gaya,

Dushwar hai kabhi bhi jo aaraam kar sako.

Detailed work

LINE 1:

Itni nahi bisaat ke kuch kaam kar sako,

Don’t you have the strength to work,

Bisaat = Strength

LINE 2:

Aaye ho iss jahaan mein to kuch naam kar sako.

To earn fame while you are alive.

LINE 3:

Kitni buri hai baat gire utth nahi sake!

What a shame that you could not rise after a fall!

LINE 4:

Phir haq nahi naseeb ko badnaam kar sako.

Then you have no right to curse your destiny.

LINE 5:

Khud ko nikhaar ne ka nasha dil mein pal gaya,

Make it an obsession to improve yourself,

LINE 6:

Dushwar hai kabhi bhi jo aaraam kar sako.

It would be hard to indulge in leisure.

Dushwar = Trouble

Credits

Poet: Shakeel Anwar

Translation, Transliteration: Dawood Shakeel