Kaafi Hai

Table of content

Poetry details

Title: KAAFI HAI

Created date: 30-Apr-2016 Sat

Total lines: 12

Written by: Shakeel Anwar

Pesh karta hoon ek nazm, "KAAFI HAI", iss ummeed ke saath ke aapko pasand aaye. Mulahiza farmaaye.

I present a nazm, "IT IS ENOUGH", with this hope that you find it endearing. Please lend an ear.

Transliteration

Ab talak jo bhi dikha sochta hoon kaafi hai,

Haan! Zamaaney ka bahot rang abhi baaqi hai.

Chand lamhon ki musarrat se nahi behkunga,

Dard se main na darun, dard mera saathi hai.

Kaam un logon ka hai waqt ko gaali dena,

Jin ke khwahish kabhi tukron mein bikhar jaati hai.

Waqt ke lamhon mein mauqa hi dikhayi dega,

Gir ke uthne ki sifat jis mein nazar aati hai.

Hausla rakhta hoon dunya ko karoon mutthi mein,

Har nayi subha meri umr ghata jaati hai.

Taab jo Rabb ne diya uss pe Shakeel jeeta hai,

Kyun bharosa main karoon, Jang meri zaati hai?

Detailed work

LINE 1:

Ab talak jo bhi dikha sochta hoon kaafi hai,

Whatever I have seen till now, I feel it is enough,

LINE 2:

Haan! Zamaaney ka bahot rang abhi baaqi hai.

Indeed, there are many things yet to be seen.

LINE 3:

Chand lamhon ki musarrat se nahi behkunga,

I won't deviate due to momentary joy,

LINE 4:

Dard se main na darun, dard mera saathi hai.

I am not afraid of affliction, it is my companion.

LINE 5:

Kaam un logon ka hai waqt ko gaali dena,

It is only for those people to vent,

LINE 6:

Jin ke khwahish kabhi tukron mein bikhar jaati hai.

Who have unfulfilled ambitions.

LINE 7:

Waqt ke lamhon mein mauqa hi dikhayi dega,

Every moment of time brings out opportunity,

LINE 8:

Gir ke uthne ki sifat jis mein nazar aati hai.

For the people who overcome failure.

LINE 9:

Hausla rakhta hoon dunya ko karoon mutthi mein,

I strive to conquer the world,

LINE 10:

Har nayi subha meri umr ghata jaati hai.

Even though every new dawn reduces a day from my life.

LINE 11:

Tab jo Rabb nein diya uss pe Shakeel jeeta hai,

Shakeel lives on the strength blessed by the Almighty,

LINE 12:

Kyun bharosa main karoon, Jang meri zaati hai?

Why depend on others when my struggle is a personal endeavour?

Credits

Poet: Shakeel Anwar

Translation, Transliteration: Dawood Shakeel