Hosla

HOSLA. Ye kalaam, Bahut Kuch ke zariya, aap tak pahuchana chahta hoon. Mulahiza farmaye.

"Courage". Delivering these verses, through Bahut Kuch, to you. Do observe.

Table of content

Poetry details

Title: HOSLA

Created date: 01-Aug-2015 Sat

Total lines: 10

Written by: Shakeel Anwar

Transliteration

Hosla ne ye kaha kuch baat kehte kehte, x2

Zindagi kya thak gayi ho saath chalte chalte?

Door jaana hai, abhi khwahishein hain baaqi, x2

Bas tasalli rakh zara yoon saath rehte rehte.

Muft mein milti kaha hai is jahaan mein shohrat? x2

Alvida main bhi kahoon ga kaam karte karte.

Saans hai to zindagi, phir hosla bhi apna, x2

Ja raha hoon saath unke aage behte behte.

Closing line:

Hosla ne ye kaha kuch baat kehte kehte,

Zindagi kya thak gayi ho saath chalte chalte?

Detailed work

LINE 1:

Hosla ne ye kaha kuch baat kehte kehte,

In midst of a conversation, Morale said something,

LINE 2:

Zindagi kya thak gayi ho saath chalte chalte?

Oh Life, have you gotten tired of walking along?

LINE 3:

Door jaana hai, abhi khwahishein hain baaqi,

Still have wishes and have to accomplish a lot.

LINE 4:

Bas tasalli rakh zara yoon saath rehte rehte.

Just have some patience while accompanying.

LINE 5:

Muft mein milti kaha hai is jahaan mein shohrat?

Where would you find free fame in this world?

LINE 6:

Alvida main bhi kahoon ga kaam karte karte.

I will rest only when goals are accomplished.

LINE 7:

Saans hai to zindagi, phir hosla bhi apna,

With each breath, there is life, and so there is morale.

LINE 8:

Ja raha hoon saath unke aage behte behte.

I am striding forth along with them.

Credits

Poet: Shakeel Anwar

Translation, Transliteration: Dawood Shakeel