DE DIYA. Iss naam se ek kalaam Bahut Kuch ke zariya pesh karta hoon. Mulahiza farmaye.
"Given". Presenting to you a poem with this name through Bahut Kuch. Please enjoy.
Table of content
Poetry details
Title: DE DIYA
Created date: 08-Nov-2016 Tue
Total lines: 8
Written by: Shakeel Anwar
Transliteration
Ye zindagi tamaam zamane ko de diya, x2
Usse bana jo qissa sunane ko de diya.
Hathon ko jo mila bhi woh taqseem kar diya, x2
Ik zakhm hai jo maine chhupaane ko de diya.
Kaise banate log bahane hazaar hain? x2
Main hoon khuli kitaab padhane ko de diya.
Ab tak to zindagi meri guzri hai shaan se, x2
Har aane wala pal bhi lubhane ko de diya.
Closing lines:
Ye zindagi tamaam zamane ko de diya,
Usse bana jo qissa sunane ko de diya.
Detailed work
LINE 1:
Ye zindagi tamaam zamane ko de diya,
I have given away my whole life to the world,
LINE 2:
Usse bana jo qissa sunane ko de diya.
And to recite the tales borne out of it.
LINE 3:
Hathon ko jo mila bhi woh taqseem kar diya,
I have dispersed whatever was acquired,
LINE 4:
Ik zakhm hai jo maine chhupaane ko de diya.
But hid away a wound that I have.
LINE 5:
Kaise banate log bahane hazaar hain?
How do people cook up numerous excuses?
LINE 6:
Main hoon khuli kitaab padhane ko de diya.
I am an open book put forth to be read.
LINE 7:
Ab tak to zindagi meri guzri hai shaan se,
My life has passed so far with splendour,
LINE 8:
Har aane wala pal bhi lubhane ko de diya.
Even coming moments are destined to be inspiring.
Credits
Poet: Shakeel Anwar
Translation, Transliteration: Dawood Shakeel