Table of content
Poetry details
Title: INKAR KAROON
Created date: 26-Sep-2004 Sun
Total lines: 10
Written by: Shakeel Anwar
Transliteration
Maut aa jaye to usko bhi main inkaar karoon, x2
Waqt ko cheen loon, jee bhar ke tujhe pyar karoon.
Ishq ki aag mein jal ke bhi na mitna hai mujhe, x2
In adaon se hi parwaanon ko bezaar karoon.
Tum samajh te nahi hoto pe tabassum ki qeemat, x2
De sake mol koi, gar sare bazaar karoon?
Saath tera hai to chhota lage auro ka naseeb, x2
Tu muqaddar hai mera tujhko hi main pyaar karoon.
Tere aagosh mein sar rakh ke sakoon aisa mile, x2
Ab na duniya mein kisi cheez ka israar karoon.
Closing line:
Waqt ko cheen loon, jee bhar ke tujhe pyar karoon.
Detailed work
LINE 1:
Maut aa jaye to usko bhi main inkaar karoon,
I will refuse to die when the time arrives,
LINE 2:
Waqt ko cheen loon, jee bhar ke tujhe pyar karoon.
I will seize time and will love you wholeheartedly.
LINE 3:
Ishq ki aag mein jal ke bhi na mitna hai mujhe,
I will not perish even when ablaze in love,
LINE 4:
In adaon se hi parwaanon ko bezaar karoon.
I keep mocking ardent lovers with that.
Bezaar = mess with
LINE 5:
Tum samajh te nahi hoto pe tabassum ki qeemat,
You don’t know the value of your smile,
Tabassum = smile
LINE 6:
De sake mol koi, gar sare bazaar karoon?
If offered, can anyone be able to pay?
LINE 7:
Saath tera hai to chhota lage auro ka naseeb,
If you are with me, everyone else seem unfortunate,
LINE 8:
Tu muqaddar hai mera tujhko hi main pyaar karoon.
You are my destiny, and you shall be loved.
LINE 9:
Tere aagosh mein sar rakh ke sakoon aisa mile,
That kind of peace I feel in your embrace,
Sakoon = sukoon (in meter)
Aagosh = embrace
LINE 10:
Ab na duniya mein kisi cheez ka israar karoon.
That I do not wish for anything else.
Israar = demand
Credits
Poet: Shakeel Anwar
Translation, Transliteration: Dawood Shakeel