Pesh karta hoon ek nazm, "MAI AKSAR YE KEHTA HOON", iss ummeed ke saath ke aapko pasand aaye. Mulahiza farmaaye.
I present a Nazm, "OFTEN DO I SAY", with this hope that you find it endearing. Please lend an ear.
Table of content
Poetry details
Title: MAI AKSAR YE KEHTA HOON
Created date: 23-Apr-2005 Sat
Total lines: 24
Written by: Shakeel Anwar
Transliteration
Mai aksar ye kehta hoon
Iss zameen pe rehta hoon
Ek bejaan tinke ki tarah
Samay ki lahar me behta hoon
x2
Kiyon mae sirf behta hoon
Mai aksar ye kehta hoon
Mann ke bhitar ek wadi hai
Jahan sapno ki aabadi hai
Khwab hai wahan ke rajkumar
Aur chaahat anjaan shahzadi hai
x2
Kyon khwab dekha karta hoon
Mai aksar ye kehta hoon
Nazar jo aasma tak jaati ho,
Thak kar waapas laut aati ho.
Samajh na aaye kuch nigah ko,
Nazar ko jaise nazar na aati ho.
x2
Jab nazrein jhukaya karta hoon,
To mai aksar ye kehta hoon.
Har pal jo guzar jata hai,
Kuch yaadein chhod jata hai.
Aankhon mein basa hai kuch manzar,
Haan, mujhko hasata rulata hai.
x2
Jab yaadein kharch karta hoon,
Mai aksar ye kehta hoon.
Haan, mai aksar ye kehta hoon,
Iss zameen pe rehta hoon,
Ek bejaan tinke ki tarah,
Samay ki lahar me behta hoon...
Samay ki lahar me behta hoon.
Detailed work
Line 1
Mai aksar ye kehta hoon,
Often do I say,
Line 2
Iss zameen pe rehta hoon.
I dwell on this land.
Line 3
Ek bejaan tinke ki tarah,
Like a lifeless straw,
Line 4
Samay ki lahar me behta hoon.
Floating in the wave of time.
Line 5
Kyon mai sirf behta hoon?
Why do I merely float?
Line 6
Mai aksar ye kehta hoon.
Often do I say.
Line 7
Mann ke bhitar ek wadi hai,
There is a valley in the core of my heart,
Line 8
Jahan sapno ki aabadi hai.
Which is populated with aspirations.
Line 9
Khwab hai wahan ke rajkumar,
Dream is it’s Prince,
Line 10
Aur chaahat anjaan shahzadi hai.
And Desire is the unknown Princess.
Line 11
Kyon khwab dekha karta hoon?
Why do I keep dreaming?
Line 12
Mai aksar ye kehta hoon.
Often do I say.
Line 13
Nazar jo aasma tak jaati ho,
When the gaze reaches the sky,
Line 14
Thak kar waapas laut aati ho.
When it returns exhausted.
Line 15
Samajh na aaye kuch nigah ko,
The vision can’t fathom a thing,
Line 16
Nazar ko jaise nazar na aati ho.
As if the eyes can’t see.
Line 17
Jab nazrein jhukaya karta hoon,
Whenever I lower my gaze,
Line 18
To mai aksar ye kehta hoon.
Then often do I say.
Line 19
Har pal jo guzar jata hai,
With every passing moment,
Line 20
Kuch yaadein chhod jata hai.
Some memories are left behind.
Line 21
Aankhon mein basa hai kuch manzar,
Some spectacle is fixated in my eyes,
Line 22
Haan, mujhko hasata rulata hai.
Indeed, it makes me laugh and cry.
Line 23
Jab yaadein kharch karta hoon,
Whenever I spend my memories,
Line 24
Mai aksar ye kehta hoon.
Often do I say.
Credits
Poet: Shakeel Anwar
Translation, Transliteration: Dawood Shakeel